Thursday, February 11, 2010

yaad ka mausam.

tumhari yaad jab dil k karib aa gai,
dil pe aur bhi udasi chha gai,
chha gaya har oar udasi ka aalam ,
mano aa gaya teri yaad ka mausam,
ab kyu kisi se kare shikwa gila,
ab to wo ho hi gaya jo tha nasib me likha,
ab kya is bahas me pade k bewafa kaun hai ?
waqt k is prashn pe hum dono hi maun hain.
ye sach hai k hamari pyaar ka shuchi -saurabh
faila tha chahu oar .................
par pyaar k pavitra daaman pe,
zamaane k zulmo sitam ubhar aaye
aur..................
hume banna pada ek duje k liye ,
ajnabi aur paraaye.

No comments: