dil se hum aksar poochhte hain ek sawaal,
kya unhe kabhi aata hoga hamara bhi khyaal ,
yaadon me jinki hum kho jaate hain,
kya hum bhi kabhi unko ,yu hi tadpate hain.
lagate hian sau atkale ,khud ko samjhate hain ,
fir thak-har k un k hi khyaalo me kho jaate hain.
khaamosh hai lab par,
dil me kai saaal,
aankhe ab benoor hain ,
kabhi in me the kai khwaab.
aaina dekh k hume hai hairan,
puchhta hai hum se ek sawaal,
bata kaun hai ye shaqsh,
teri aankho me dikhta hai jiska aks,
kaise kahe k wo jo hai ,
n apna hai n paraya ,
jagi aankho se dekhe hua hai
ek sapna.
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment